Sunday, July 31, 2011

Asian Paints Ad...Ver Rutuja1.0

Kabhi aisa ho jaye ki hum office hi na jaye..
ghar baithe hi anokhi ek picnic manaye

khidkiyon se kare baate, pooche hawaaon ka haal-chaal..
"kya chahiye rangeen parde?" unse hum karein sawaal

kitchen ke bartanon se bhi aaj ho jaye baatein do-char..
cheeni ki meethi chhuri aur achar ki tej-khatti dhaar

tapakte hue nal ke aaj aasoon poch le..
geyser ki garma-garmi se bhi sulaah kara de

bedroom ka aaina kitni baar bulaye..
aaj phursat se usme apni parchhayee taak le

jab arse se balcony ke paudhe sirf hari pattiyan ugaaye..
tab toh phulon ki gowd bharai ki aaj maang kii jaye

darwaza chup chap jab door khada reh jaaye..
aaj uski bhi dosti deewaron se kii jaye

ek hasi aaj is ghar me bhi baaton..
kabhi is ghar ko waqt aur pyaar se sawaron

kuch na keh kar bhi ghar bahot kuch kehta hai
har ghar yeh kehta hai...andar isme mera apna rehta hai!